Masjid Jane ki Fazilath


Assalamu alaikum dostho,

.

@Masjid Jane ke Fazilath

.

  • Hazrat Abu Umama {r.a} Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah {s.w.s} Ne Farmaya:

“Jo Shakhs Apnay Ghar Se Ba’wazu Ho Kar Farz Namaz Ada Karnay Kai Liye Masjid Kai Liye Nikalta Hai Pas Is Ko Hajj Ka Ahraam Bandnay Walay Ki Maanind Sawab Milta Hai.”

(Abu Da’wud, Hadees: 558)
Yaad Rahay Ki Jin Par Allah Ta’ala Ka Hajj Farz Ho Chuka Ho, Jab Tak Wo Wahan Ja Kar Hajj Na Karen In Se Farziyat Saaqit Na Hogi Khawah Saari Umar Ba’wazu Ho Kar Panchon (5) Namazen Masjid Me Ja Kar Padhatay Rahain, Is Liye Allah Ki Bakhshish Aur Ajro Sawab Ki Farawani Se Kisi Qism Ki Ghalat Fehmi Ka Shikaar Nahe Hona Chahiye.
Jam’aat Kai Sath Namaz Padhnay Ka Sawab Apnay Ghar Ya Bazaar Me Tanha Namaz Padhnay Se (Kam-az Kam) Pachees (25) Darjay Zyada Hai. Pas Jab Wo Achi Tarah Wazu Kar Kai Masjid Jaye To Is Kai Har Qadam Se Is Ka Darja Buland Hota Hai Aur Gunah Maaf Hotay Hain. Jab Wo Namaz Padhta Hai To Farishtay Is Kai Liye Is Waqt Tak Dua Kartay Rehtay Hain Jab Tak Wo Namaz Ki Jagah Par Baitha Rehta Hai. Farishtay Kehtay Hain Aay Allah! Is Par Rehmat Kar. Aay Allah! Is Par Reham Kar. Jab Tak Namazi Namaz Ka Intizaar Karta Hai Wo Namaz Hi Me Hota Hai.

(Bukhari, Hadees: 2119)

(Muslim, Hadees: 649)
Hazrat Jabir{r.a} Se Riwayat Hai Ki Masjid-e Nabwi Kai Gird Kuch Makaan Khali Huay. Banu Salma Ne Masjid Kai Qareeb Muntaqil Honay Ka Iraada Kiya. Aap {s.w.s} Ne Farmaya:

“Aay Banu Salma Apnay (Maujuda) Gharon Me Thehray Raho (Masjid Ki Taraf Aatay Waqt) Tumharay Qadam Likhay Jatay Hain.”

(Muslim, Hadees: 665)
.

Post by:- Waseem khan

Leave a comment