Quran aur Allah ki rehmat

Assalamu alaikum dostho,
.
@Jo Allah ki Kitaab (Quran) padhe aur ek dusre ko padhaye to un par Allah ki rahmat Nazil hogi
.
*Mafum-e-Hadees:-
Abu Hurairah{r.a.t} se rivayat hai ki, Rasoolullah{s.w.s} ne farmaya “Jo Shakhs Ilm-e-Deen Hasil karne ke liye raah chale tho Allah Subahanhu uske liye Jannat ka rastha Aasaan farma dega. Aur jo log Allah ke ghar me jama hokar Allah ki kitaab (Quran) padhe aur ek dusre ko padhaye tho un per Allah ki rahmat Nazil hogi aur Rahmat unko dhaanp legi aur farishte unko gher lenge aur Allah Subahanahu unlogo ka zikr karega. Apne pass rahne walo me aur jo Amal me kothahi (susti) kare uska Khandan kuch kaam na ayega.”
[Sahih Muslim, vol (6), hadees: 6853]
.
Allah, Hamsab ko Amal karne aur Ilm-e-Deen hasil karne ki taufiq Atha farma [A’ameen]

Leave a comment